ye ḳhud ko dekhte rahne kī hai jo ḳhū mujh meñ
chhupā huā hai kahīñ vo shagufta-rū mujh meñ
mah o nujūm ko terī jabīñ se nisbat duuñ
ab is qadar bhī nahīñ ādat-e-ġhulū mujh meñ
taġhayyurāt-e-jahāñ dil pe kyā asar karte
hai terī ab bhī vahī shakl hū-ba-hū mujh meñ
rafūgaroñ ne ajab tab.a-āzmā.ī kī
rahī sire se na gunjā.ish-e-rafū mujh meñ
vo jis ke sāmne merī zabāñ nahīñ khultī
usī ke saath to hotī hai guftugū mujh meñ
ḳhudā kare ki use dil kā rāsta mil jaa.e
bhaTak rahī hai koī chaap kū-ba-kū mujh meñ
us ek zohra-jabīñ ke tufail jaarī hai
tamām zohra-jabīnoñ kī justujū mujh meñ
nahīñ pasand mujhe sher-o-shā.erī karnā
kabhī-kabhār bas uThtī hai ek hū mujh meñ
maiñ zindagī huuñ mujhe is qadar na chaah 'shu.ūr'
musāfirāna iqāmat-guzīñ hai tū mujh meñ