kaḌā hai din baḌī hai raat jab se tum nahīñ aa.e
digar-gūñ haiñ mire hālāt jab se tum nahīñ aa.e
lagī rahtī hai ashkoñ kī jhaḌī garmī ho sardī ho
nahīñ ruktī kabhī barsāt jab se tum nahīñ aa.e
na kī jaatī hai auroñ se mulāqāt ek lamhe ko
na ho paatī hai ḳhud se baat jab se tum nahīñ aa.e
patā chaltā nahīñ thā sā.atoñ kā jab tum aate the
guzarte haiñ garāñ lamhāt jab se tum nahīñ aa.e
na ghar vaale na ham-sā.e na ahbāb-o-a.izzā haiñ
ye dil hai yā ḳhudā kī zaat jab se tum nahīñ aa.e