sulaimān-e-suḳhan to ḳhair kyā huuñ
yake az shahr-e-yārān-e-sabā huuñ
vo jab kahte haiñ fardā hai ḳhush-ā.ind
ajab hasrat se muḌ kar dekhtā huuñ
firāq ai maañ ki maiñ zīna-ba-zīna
kalī huuñ gul huuñ ḳhushbū huuñ sabā huuñ
sahar aur dopahar aur shaam aur shab
maiñ in lafzoñ ke ma.anī sochtā huuñ
kahāñ tak kāhilī ke ta.an suntā
thakan se chuur ho kar gir paḌā huuñ
taraqqī par mubārakbād mat do
rafīqo meñ akelā rah gayā huuñ
kabhī rotā thā us ko yaad kar ke
ab aksar be-sabab rone lagā huuñ
sune vo aur phir kar le yaqīñ bhī
baḌī tarkīb se sach boltā huuñ