ye tanhā.ī ye uzlat ai dil ai dil
javānī meñ ye hālat ai dil ai dil
nagar hotā to koī baat bhī thī
bayābāñ meñ ye vahshat ai dil ai dil
bhalā kyā is bharī duniyā meñ tanhā
vahī hai ḳhūbsūrat ai dil ai dil
kise hotī nahīñ us kī zarūrat
magar itnī zarūrat ai dil ai dil
zamāna chāhiye dil jītne ko
ye be-tābī ye ujlat ai dil ai dil
ye aañsū haiñ koī motī nahīñ haiñ
luTāte haiñ ye daulat ai dil ai dil
'shu.ūr' aayā huā baiThā hai kab se
ye be-hoshī ye ġhaflat ai dil ai dil