Anwar Shuoor

isMein kya shak hai ki aawara hun main

Anwar Shuoor

Seoni, Madhya Pradesh, India

1943
is meñ kyā shak hai ki āvāra huuñ maiñ
kūche kūche meñ phirā kartā huuñ maiñ
mujh se sarzad hote rahte haiñ gunāh
aadmī huuñ kyuuñ kahūñ achchhā huuñ maiñ
sāf-o-shaffāf āsmāñ ko dekh kar
gandī gandī gāliyāñ baktā huuñ maiñ
qahva-ḳhānoñ meñ basar kartā huuñ din
qahba-ḳhānoñ meñ sahar kartā huuñ maiñ
din guzartā hai mirā ahbāb meñ
raat ko fōtpath par sotā huuñ maiñ
biiT kar jaatī hai chiḌiyā TaañT par
azmat-e-ādam kā ā.īna huuñ maiñ
kāñch sī guḌiyoñ ke narm a.asāb par
sūrat-e-sañg-e-havas paḌtā huuñ maiñ
nāzukoñ ke naaz uThāne ke bajā.e
nāzukoñ se naaz uThvātā huuñ maiñ
dūsroñ ko kyā patā apnā batā.ūñ
ab to ḳhud apne liye anqā huuñ maiñ
mujh se pūchhe hurmat-e-ka.aba koī
masjidoñ meñ choriyāñ kartā huuñ maiñ
mujh se likhvā.e koī hijv-e-sharāb
mai-kadoñ meñ qarz kī piitā huuñ maiñ
maiñ chhupātā huuñ barahna ḳhvāhisheñ
vo samajhtī hai ki sharmīlā huuñ maiñ
kis qadar bad-nāmiyāñ haiñ mere saath
kyā batā.ūñ kis qadar tanhā huuñ maiñ
ḳhvāb-āvar goliyoñ se ai 'shu.ūr'
ḳhud-kushī kī koshisheñ kartā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com