mushtāq ba-dastūr zamāna hai tumhārā
aane se fusūñ-ḳhez na aanā hai tumhārā
lailā kī hikāyat bhī hikāyat hai tumhārī
shīrīñ kā fasāna bhī fasāna hai tumhārā
is dil kī ḳhabar tum se ziyāda kise hogī
andāz magar be-ḳhabarāna hai tumhārā
tum husn-e-mujassam ho bilā-shirkat-e-ġhaire
nā-qābil-e-taqsīm ḳhazāna hai tumhārā
dil meñ koī aa jaa.e to vāpas nahīñ jaatā
dushvār yahāñ se kahīñ jaanā hai tumhārā
tum se muta.assir haiñ na.e hoñ ki purāne
uslūb nayā hai ki purānā hai tumhārā
kyuuñ raushnī-o-rañg se ma.amūr na ho dil
sunsān sahī ā.ina-ḳhāna hai tumhārā
samjhāyā bujhāyā na karo dil ko 'shu.ūr' ab
kambaḳht ne kahnā kabhī maanā hai tumhārā