Jigar Barelvi

nind ke badle tasalli hi sahi aati to hai

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
niiñd ke badle tasallī hī sahī aatī to hai
dil se bāteñ karte karte raat kaT jaatī to hai
kyā isī kā naam hai soz-e-mohabbat ham-nashīñ
ek bijlī sī mirī rag rag meñ lahrātī to hai
is se baḌh kar aur kyā tāsīr ġham kī chāhiye
dil kī aahoñ se jigar kī choT chhil jaatī to hai
kyā yahī hai ai mohabbat hastī-e-dil kā ma.aal
ik lahū kī buuñd mizhgāñ par nazar aatī to hai
kuchh ba-zāhir vāsta is se hameñ ho yā na ho
dekh kar us kī nigāheñ ruuh tharrātī to hai
soz-e-ġham se jab bahut jaltā hai dil apnā 'jigar'
ruuh kī manzil meñ kuchh kuchh raushnī aatī to hai
Top Urdushayar.com