Jigar Barelvi

lijiye tabani-e-alam ke saman ho gae

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
lījiye tābānī-e-ālam ke sāmāñ ho ga.e
dil ke zarre uḌ ke har jānib pareshāñ ho ga.e
dard-e-tanhā.ī se mar jaanā to kuchh mushkil na thā
kyā kaheñ ġham se magar kuchh ahd-o-paimāñ ho ga.e
iltifāt-e-dost kā mumkin nahīñ koī sila
kam hai jān-o-dil jo sarf-e-shukr-e-ehsāñ ho ga.e
tujh se kyā leñ intiqām ai ḳhāk-e-be-barg-o-navā
vo kahāñ haiñ mehr-o-mah tujh meñ jo pinhāñ ho ga.e
dāvat-e-jalva hai phir barq-e-nigāh-e-nāz ko
jam.a phir hastī ke ajzā-e-pareshāñ ho ga.e
ab maiñ samjhā sīna-e-sozāñ ke shaq hone kā raaz
aap pinhāñ kyā hue goyā numāyāñ ho ga.e
jin ko honā hī na thā rāh-e-mohabbat meñ ġhubār
kis tarah vo ḳhaak ke putle phir insāñ ho ga.e
ḳhāk-e-dil ke chand zarre uḌ ga.e the ek din
ban ke taare āsmānoñ par daraḳhshāñ ho ga.e
kuchh ḳhayāl-e-dost aayā thā ki aa pahuñchī bahār
jis taraf dekhā gulistāñ hī gulistāñ ho ga.e
husn ne roz-e-azal jab ruḳh se sarkā.ī naqāb
chand jalve rañg ban kar bazm-e-imkāñ ho ga.e
chhā rahā hai rañg har jānib bahār-e-husn kā
vā haiñ jin ke dīda-e-dil gul-badāmāñ ho ga.e
rafta rafta ārzū-e-rastagārī miT ga.ī
rah ke zindāñ meñ 'jigar' āzād-e-zindāñ ho ga.e
Top Urdushayar.com