maut jab tak nazar nahīñ aatī
zindagī raah par nahīñ aatī
tark-e-tadbīr bhī nahīñ āsāñ
raas tadbīr agar nahīñ aatī
markaz-e-dil pe jo nahīñ qaa.em
vo nazar raah par nahīñ aatī
dil ko lazzat-shanās-e-ġham kar leñ
maut ham ko agar nahīñ aatī
jis ne terī nazar ko dekh liyā
us ko duniyā nazar nahīñ aatī
vo kabhī mehrbān ho jaatā
aisī sūrat nazar nahīñ aatī
jiite jī ke haiñ saare hañgāme
mar ke phir kuchh ḳhabar nahīñ aatī
aah kyā ho gayā zamāne ko
ab muravvat nazar nahīñ aatī
hai unheñ to vaqār-e-ijz-o-niyāz
vo tamannā jo bar nahīñ aatī
zindagī se nibāhe jā.eñge
maut jab tak nazar nahīñ aatī
ashk-e-paiham 'jigar' nahīñ thamte
raah par chashm-e-tar nahīñ aatī