Jigar Barelvi

be-khabar-e-hayat tha gham ne mujhe jaga diya

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
be-khabar-e-hayāt thā ġham ne mujhe jagā diyā
ziist kā raaz khol kar maut kā aasrā diyā
zulf-e-siyah kī yaad meñ ḳhauf-e-pas-e-fanā kahāñ
tūl-e-shab-e-firāq ne sub.h kā ġham miTā diyā
maut kahīñ nahīñ hameñ aur kahāñ nahīñ hai maut
kis ne banā ke saḳht-jāñ siine meñ dil banā diyā
talḳh to thā ġham-e-hayāt itnā na talḳh thā magar
pūchh ke tum ne hāl-e-dil zahr mujhe pilā diyā
aa ke palaT gayā koī aur na hameñ ḳhabar huī
kaif-e-ummīd-e-dīd ne shaam hī se sulā diyā
ġham-kada-e-hayāt meñ aah maiñ vo charāġh huuñ
sub.h huī jalā diyā shaam huī bujhā diyā
haa.e vo dard kyā huā jis se thī zindagī mirī
ḳhud hī miTā nahīñ hai dil dil ne mujhe miTā diyā
haif ki be-kasī kī sharm aaj 'jigar' na rah sakī
ujḌe hue mazār par kis ne diyā jalā diyā
Top Urdushayar.com