Jigar Barelvi

kyun aashna-e-gham dil-e-wahshat-asar nahin

Jigar Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1890-1976
kyuuñ āshnā-e-ġham dil-e-vahshat-asar nahīñ
mānūs-e-iltifāt vo zālim agar nahīñ
maiñ huuñ talāsh-e-rāh-e-mohabbat hai dasht hai
saaya nahīñ nishān nahīñ ham-safar nahīñ
phir rāh-rau se letā huuñ manzil kā kuchh surāġh
sab rāhbar haiñ mere koī rāhbar nahīñ
phir andalīb-e-zār ne tinke uThā liye
shāyad chaman ujaḌne kī is ko ḳhabar nahīñ
maiñ aur jām-o-naġhma-o-mutrib se vāsta
ḳhush huuñ ki merā bazm-e-tarab meñ guzar nahīñ
kyuuñ jal na jaa.e tāb-e-ruḳh-e-yār dekh kar
dil hai ye koī chashm-e-haqīqat-nigar nahīñ
aurāq-e-do-jahāñ pe jo tahrīr ho sake
itnā mirā fasāna-e-ġham muḳhtasar nahīñ
zabt-e-junūñ ne Dhaa.ī haiñ dil kī imārateñ
ab is dayār meñ koī dīvār-o-dar nahīñ
dil ko supurd karte haiñ apnā payām-e-jāñ
ye mo'tabar nahīñ to koī mo'tabar nahīñ
paivast hoñ na jis meñ zamāne ke dil 'jigar'
kuchh aur hai vo aap kā tīr-e-nazar nahīñ
kaisī duā kahāñ kā asar kis kā mudda.ā
kuchh aag ke sivā mire dil meñ 'jigar' nahīñ
Top Urdushayar.com