mirī nazar meñ ḳhaak tere aa.ine pe gard hai
ye chāñd kitnā zard hai ye raat kitnī sard hai
kabhī kabhī to yuuñ lagā ki ham sabhī machine haiñ
tamām shahar meñ na koī zan na koī mard hai
ḳhudā kī nazmoñ kī kitāb saarī kā.enāt hai
ġhazal ke sher kī tarah har ek fard fard hai
hayāt aaj bhī kanīz hai huzūr-e-jabr meñ
jo zindagī ko jiit le vo zindagī kā mard hai
ise tabarruk-e-hayāt kah ke palkoñ par rakhūñ
agar mujhe yaqīn ho ye rāste kī gard hai
vo jin ke zikr se ragoñ meñ dauḌtī thiiñ bijliyāñ
unhīñ kā haath ham ne chhū ke dekhā kitnā sard hai