Bashir Badr

agar yaqin nahin aata to aazmae mujhe

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
agar yaqīñ nahīñ aatā to āzmā.e mujhe
vo aa.ina hai to phir aa.ina dikhā.e mujhe
ajab charāġh huuñ din raat jaltā rahtā huuñ
maiñ thak gayā huuñ havā se kaho bujhā.e mujhe
maiñ jis kī aañkh kā aañsū thā us ne qadr na kī
bikhar gayā huuñ to ab ret se uThā.e mujhe
bahut dinoñ se maiñ in pattharoñ meñ patthar huuñ
koī to aa.e zarā der ko rulā.e mujhe
maiñ chāhtā huuñ ki tum hī mujhe ijāzat do
tumhārī tarah se koī gale lagā.e mujhe
Top Urdushayar.com