abhī is taraf na nigāh kar maiñ ġhazal kī palkeñ sañvār luuñ
mirā lafz lafz ho ā.īna tujhe aa.ine meñ utaar luuñ
maiñ tamām din kā thakā huā tū tamām shab kā jagā huā
zarā Thahar jā isī moḌ par tere saath shaam guzār luuñ
agar āsmāñ kī numā.ishoñ meñ mujhe bhī izn-e-qayām ho
to maiñ motiyoñ kī dukān se tirī bāliyāñ tire haar luuñ
kahīñ aur baañT de shohrateñ kahīñ aur baḳhsh de izzateñ
mire paas hai mirā ā.īna maiñ kabhī na gard-o-ġhubār luuñ
ka.ī ajnabī tirī raah meñ mire paas se yuuñ guzar ga.e
jinheñ dekh kar ye taḌap huī tirā naam le ke pukār luuñ