Bashir Badr

wo apne ghar chala gaya afsos mat karo

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
vo apne ghar chalā gayā afsos mat karo
itnā hī us kā saath thā afsos mat karo
insān apne aap meñ majbūr hai bahut
koī nahīñ hai bevafā afsos mat karo
is baar tum ko aane meñ kuchh der ho ga.ī
thak-hār ke vo so gayā afsos mat karo
duniyā meñ aur chāhne vaale bhī haiñ bahut
jo honā thā vo ho gayā afsos mat karo
is zindagī ke mujh pe ka.ī qarz haiñ magar
maiñ jald lauT ā.ūñgā afsos mat karo
ye dekho phir se aa ga.iiñ phūloñ pe titliyāñ
ik roz vo bhī aa.egā afsos mat karo
vo tum se aaj duur hai kal paas aa.egā
phir se ḳhudā milā.egā afsos mat karo
be-kār jī pe bojh liye phir rahe ho tum
dil hai tumhārā phuul sā afsos mat karo
Top Urdushayar.com