koī lashkar ki dhaḌakte hue ġham aate haiñ
shaam ke saa.e bahut tez qadam aate haiñ
dil vo darvesh hai jo aañkh uThātā hī nahīñ
us ke darvāze pe sau ahl-e-karam aate haiñ
mujh se kyā baat likhānī hai ki ab mere liye
kabhī sone kabhī chāñdī ke qalam aate haiñ
maiñ ne do chaar kitābeñ to paḌhī haiñ lekin
shahr ke taur-tarīqe mujhe kam aate haiñ
ḳhūb-sūrat sā koī hādisa āñkhoñ meñ liye
ghar kī dahlīz pe Darte hue ham aate haiñ