sochā nahīñ achchhā burā dekhā sunā kuchh bhī nahīñ
māñgā ḳhudā se raat din tere sivā kuchh bhī nahīñ
sochā tujhe dekhā tujhe chāhā tujhe puujā tujhe
merī ḳhatā merī vafā terī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
jis par hamārī aañkh ne motī bichhā.e raat bhar
bhejā vahī kāġhaz use ham ne likhā kuchh bhī nahīñ
ik shaam ke saa.e tale baiThe rahe vo der tak
āñkhoñ se kī bāteñ bahut muñh se kahā kuchh bhī nahīñ
ehsās kī ḳhushbū kahāñ āvāz ke jugnū kahāñ
ḳhāmosh yādoñ ke sivā ghar meñ rahā kuchh bhī nahīñ
do-chār din kī baat hai dil ḳhaak meñ mil jā.egā
jab aag par kāġhaz rakhā baaqī bachā kuchh bhī nahīñ