Bashir Badr

aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
āñkhoñ meñ rahā dil meñ utar kar nahīñ dekhā
kashtī ke musāfir ne samundar nahīñ dekhā
be-vaqt agar jā.ūñgā sab chauñk paḌeñge
ik umr huī din meñ kabhī ghar nahīñ dekhā
jis din se chalā huuñ mirī manzil pe nazar hai
āñkhoñ ne kabhī miil kā patthar nahīñ dekhā
ye phuul mujhe koī virāsat meñ mile haiñ
tum ne mirā kāñToñ bharā bistar nahīñ dekhā
yāroñ kī mohabbat kā yaqīñ kar liyā maiñ ne
phūloñ meñ chhupāyā huā ḳhanjar nahīñ dekhā
mahbūb kā ghar ho ki buzurgoñ kī zamīneñ
jo chhoḌ diyā phir use muḌ kar nahīñ dekhā
ḳhat aisā likhā hai ki nagīne se jaḌe haiñ
vo haath ki jis ne koī zevar nahīñ dekhā
patthar mujhe kahtā hai mirā chāhne vaalā
maiñ mom huuñ us ne mujhe chhū kar nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com