ye zard pattoñ kī bārish mirā zavāl nahīñ
mire badan pe kisī dūsre kī shaal nahīñ
udaas ho ga.ī ek fāḳhta chahaktī huī
kisī ne qatl kiyā hai ye intiqāl nahīñ
tamām umr ġharībī meñ bā-vaqār rahe
hamāre ahd meñ aisī koī misāl nahīñ
vo lā-sharīk hai us kā koī sharīk kahāñ
vo be-misāl hai us kī koī misāl nahīñ
maiñ āsmān se TuuTā huā sitāra huuñ
kahāñ milī thī ye duniyā mujhe ḳhayāl nahīñ
vo shaḳhs jis ko dil o jaañ se baḌh ke chāhā thā
bichhaḌ gayā to ba-zāhir koī malāl nahīñ