Bashir Badr

wo surat gard-e-gham mein chhup gai ho

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
vo sūrat gard-e-ġham meñ chhup ga.ī ho
bahut mumkin ye vo hī aadmī ho
maiñ Thahrā ābshār-e-shahr-e-pur-fan
ghane jañgal kī tum bahtī nadī ho
bahut masrūf hai añgusht-e-naġhma
magar tum to abhī tak bāñsurī ho
mirī āñkhoñ meñ registāñ base haiñ
koī aise meñ sāvan kī jhaḌī ho
diyā jo bujh chukā hai phir jalānā
bahut mahsūs jab merī kamī ho
ye shab jaise koī be-māñ kī bachchī
akele rote rote so ga.ī ho
vo dariyā meñ nahānā chāñdnī kā
ki chāñdī jaise ghul kar bah rahī ho
kahānī kahne vaale kah rahe haiñ
magar jaane vahī jis par paḌī ho
miyāñ! dīvān kā mat ro.ab Daalo
paḌho koī ġhazal jo vāqa.ī ho
ġhazal vo mat sunānā ham ko shā.er
jo behad sāma.īñ meñ chal chukī ho
Top Urdushayar.com