sar-e-rāh kuchh bhī kahā nahīñ kabhī us ke ghar maiñ gayā nahīñ
maiñ janam janam se usī kā huuñ use aaj tak ye patā nahīñ
use paak nazroñ se chūmnā bhī ibādatoñ meñ shumār hai
koī phuul laakh qarīb ho kabhī maiñ ne us ko chhuā nahīñ
ye ḳhudā kī den ajiib hai ki isī kā naam nasīb hai
jise tū ne chāhā vo mil gayā jise maiñ ne chāhā milā nahīñ
isī shahr meñ ka.ī saal se mire kuchh qarībī aziiz haiñ
unheñ merī koī ḳhabar nahīñ mujhe un kā koī patā nahīñ