tāroñ bharī palkoñ kī barsā.ī huī ġhazleñ
hai kaun piro.e jo bikhrā.ī huī ġhazleñ
vo lab haiñ ki do misre aur donoñ barābar ke
zulfeñ ki dil-e-shā.ir par chhā.ī huī ġhazleñ
ye phuul haiñ yā sheroñ ne sūrateñ paa.ī haiñ
shāḳheñ haiñ ki shabnam meñ nahlā.ī huī ġhazleñ
ḳhud apnī hī aahaT par chauñke huuñ hiran jaise
yuuñ raah meñ miltī haiñ ghabrā.ī huī ġhazleñ
in lafzoñ kī chādar ko sarkāo to dekhoge
ehsās ke ghuñghaT meñ sharmā.ī huī ġhazleñ
us jān-e-taġhazzul ne jab bhī kahā kuchh kahiye
maiñ bhuul gayā aksar yaad aa.ī huī ġhazleñ