Bashir Badr

sanwar nok-palak abruon mein KHam kar de

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
sañvār nok-palak abruoñ meñ ḳham kar de
gire paḌe hue lafzoñ ko mohtaram kar de
ġhurūr us pe bahut sajtā hai magar kah do
isī meñ us kā bhalā hai ġhurūr kam kar de
yahāñ libās kī qīmat hai aadmī kī nahīñ
mujhe gilās baḌe de sharāb kam kar de
chamakne vaalī hai tahrīr merī qismat kī
koī charāġh kī lau ko zarā sā kam kar de
kisī ne chuum ke āñkhoñ ko ye duā dī thī
zamīn terī ḳhudā motiyoñ se nam kar de
Top Urdushayar.com