dil na dīvāna ho ye us ko gavārā bhī nahīñ
chaak dāmān-o-girebāñ hoñ ye iimā bhī nahīñ
ham liye jā.eñge kuchh us kā bharosa bhī nahīñ
jaan de deñ ye mohabbat kā taqāzā bhī nahīñ
be-niyāz aap se ho jaa.eñ ye hotā bhī nahīñ
dil hī jab dekhte haiñ koī tamannā bhī nahīñ
jaan be-tāb sī rahtī hai ki ho jaa.e nisār
aañkh bhar kar abhī ham ne use dekhā bhī nahīñ
zaḳhm baḌhtā bhī nahīñ faisla jis se ho jaa.e
tiir vo dil meñ lagā hai ki nikaltā bhī nahīñ
be-hijābī bhī nahīñ vo ki jo hosh uḌ jaa.eñ
hosh rah jaa.eñ Thikāne hī dar-parda bhī nahīñ
chain paḌtā hī nahīñ hai kisī karvaT ham ko
ḳhaar siine meñ chhupā huuñ koī aisā bhī nahīñ
phir bhī dil hai ki usī par hue jaatā hai nisār
aañkh uThā kar kabhī jis ne hameñ dekhā bhī nahīñ
zarre zarre pe bahār aa ga.ī dil meñ bhī bahār
jazba-e-shauq hamārā abhī bhaḌkā bhī nahīñ
paañv rakhte bhī nahīñ aap baḌhe jaate haiñ
ham ko us kūche kā saudā ho to saudā bhī nahīñ
lutf hotā to yahī thā ki na hote barbād
ham jo barbād hue to koī shikva bhī nahīñ
shikva-e-jaur to karte haiñ magar sach to ye hai
lutf ham par ho 'jigar' ham ne ye chāhā bhī nahīñ