Bashir Badr

kahin chand rahon mein kho gaya kahin chandni bhi bhaTak gai

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
kahīñ chāñd rāhoñ meñ kho gayā kahīñ chāñdnī bhī bhaTak ga.ī
maiñ charāġh vo bhī bujhā huā merī raat kaise chamak ga.ī
mirī dāstāñ kā uruuj thā tirī narm palkoñ kī chhāñv meñ
mire saath thā tujhe jāgnā tirī aañkh kaise jhapak ga.ī
bhalā ham mile bhī to kyā mile vahī dūriyāñ vahī fāsle
na kabhī hamāre qadam baḌhe na kabhī tumhārī jhijak ga.ī
tire haath se mere hoñT tak vahī intizār kī pyaas hai
mire naam kī jo sharāb thī kahīñ rāste meñ chhalak ga.ī
tujhe bhuul jaane kī koshisheñ kabhī kāmyāb na ho sakīñ
tirī yaad shāḳh-e-gulāb hai jo havā chalī to lachak ga.ī
Top Urdushayar.com