Bashir Badr

udas raat hai koi to KHwab de jao

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
udaas raat hai koī to ḳhvāb de jaao
mire gilās meñ thoḌī sharāb de jaao
bahut se aur bhī ghar haiñ ḳhudā kī bastī meñ
faqīr kab se khaḌā hai javāb de jaao
maiñ zard pattoñ par shabnam sajā ke laayā huuñ
kisī ne mujh se kahā thā hisāb de jaao
adab nahīñ hai ye aḳhbār ke tarāshe haiñ
ga.e zamānoñ kī koī kitāb de jaao
phir us ke ba.ad nazāre nazar ko tarseñge
vo jā rahā hai ḳhizāñ ke gulāb de jaao
mirī nazar meñ rahe Dūbne kā manzar bhī
ġhurūb hotā huā āftāb de jaao
hazār safhoñ kā dīvān kaun paḌhtā hai
'bashīr-badr' kā koī intiḳhāb de jaao
Top Urdushayar.com