Bashir Badr

yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
yūñhī be-sabab na phirā karo koī shaam ghar meñ rahā karo
vo ġhazal kī sachchī kitāb hai use chupke chupke paḌhā karo
koī haath bhī na milā.egā jo gale miloge tapāk se
ye na.e mizāj kā shahr hai zarā fāsle se milā karo
abhī raah meñ ka.ī moḌ haiñ koī aa.egā koī jā.egā
tumheñ jis ne dil se bhulā diyā use bhūlne kī duā karo
mujhe ishtihār sī lagtī haiñ ye mohabbatoñ kī kahāniyāñ
jo kahā nahīñ vo sunā karo jo sunā nahīñ vo kahā karo
kabhī husn-e-parda-nashīñ bhī ho zarā āshiqāna libās meñ
jo maiñ ban sañvar ke kahīñ chalūñ mire saath tum bhī chalā karo
nahīñ be-hijāb vo chāñd sā ki nazar kā koī asar na ho
use itnī garmī-e-shauq se baḌī der tak na takā karo
ye ḳhizāñ kī zard sī shaal meñ jo udaas peḌ ke paas hai
ye tumhāre ghar kī bahār hai use āñsuoñ se harā karo
Top Urdushayar.com