Bashir Badr

log TuT jate hain ek ghar banane mein

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
log TuuT jaate haiñ ek ghar banāne meñ
tum taras nahīñ khāte bastiyāñ jalāne meñ
aur jaam TūTeñge is sharāb-ḳhāne meñ
mausamoñ ke aane meñ mausamoñ ke jaane meñ
har dhaḌakte patthar ko log dil samajhte haiñ
umreñ biit jaatī haiñ dil ko dil banāne meñ
fāḳhta kī majbūrī ye bhī kah nahīñ saktī
kaun saañp rakhtā hai us ke āshiyāne meñ
dūsrī koī laḌkī zindagī meñ aa.egī
kitnī der lagtī hai us ko bhuul jaane meñ
Top Urdushayar.com