nazar se guftugū ḳhāmosh lab tumhārī tarah
ġhazal ne sīkhe haiñ andāz sab tumhārī tarah
jo pyaas tez ho to ret bhī hai chādar-e-āb
dikhā.ī duur se dete haiñ sab tumhārī tarah
bulā rahā hai zamāna magar tarastā huuñ
koī pukāre mujhe be-sabab tumhārī tarah
havā kī tarah maiñ be-tāb huuñ ki shāḳh-e-gulāb
lahaktī hai mirī aahaT pe ab tumhārī tarah
misāl-e-vaqt meñ tasvīr-e-sub.h-o-shām huuñ ab
mire vajūd pe chhā.ī hai shab tumhārī tarah
sunāte haiñ mujhe ḳhvāboñ kī dāstāñ aksar
kahāniyoñ ke pur-asrār lab tumhārī tarah