Bashir Badr

soe kahan the aankhon ne takiye bhigoe the

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
so.e kahāñ the āñkhoñ ne takiye bhigo.e the
ham bhī kabhī kisī ke liye ḳhuub ro.e the
añgnā.ī meñ khaḌe hue berī ke peḌ se
vo log chalte vaqt gale mil ke ro.e the
har saal zard phūloñ kā ik qāfila rukā
us ne jahāñ pe dhuul aTe paañv dho.e the
is hādse se merā ta.alluq nahīñ koī
mele meñ ek saath ka.ī bachche kho.e the
āñkhoñ kī kashtiyoñ meñ safar kar rahe haiñ vo
jin dostoñ ne dil ke safīne Dubo.e the
kal raat maiñ thā mere alāva koī na thā
shaitān mar gayā thā farishte bhī so.e the
Top Urdushayar.com