nazar jhukī hai ye sar tumhārā agar jhukā hai
nazar se girne ke baad koī kahāñ uThā hai
yaqīñ nahīñ gar laboñ ko izn-e-kalām de ab
tumhāre hoñToñ pe naam merā kahīñ rukā hai
asīr-zāde sabhī qafas ke himāyatī haiñ
ġhulām-zāde raheñge āḳhir yahī sazā hai
ḳhudārā tohmat lagā nahīñ maiñ vahāñ nahīñ thā
jahāñ qabīla tirī anāoñ kā jā luTā hai
duā ke pardoñ meñ dard ginñe lagā to dekhā
ki dard-e-ishqāñ har ek dukh meñ chhupā huā hai
bhalā maiñ dāġh-e-mafāriqat kī misāl kyā duuñ
ye daaġh jis ko lagā vo suulī chaḌhā diyā hai
kuchal hī Daalā hai dard-e-hijrāñ kī āhaToñ ne
mire ḳhayāloñ ne vasl-lamha agar bunā hai
ġhazal gavāh hai koī nahīñ hai tumhārā saanī
'ḳhalīl' terā suḳhan taḳhayyul se māvarā hai