Bashir Badr

achchha tumhaare shahr ka dastur ho gaya

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
achchhā tumhāre shahr kā dastūr ho gayā
jis ko gale lagā liyā vo duur ho gayā
kāġhaz meñ dab ke mar ga.e kiiḌe kitāb ke
dīvāna be-paḌhe-likhe mash.hūr ho gayā
mahloñ meñ ham ne kitne sitāre sajā diye
lekin zamīñ se chāñd bahut duur ho gayā
tanhā.iyoñ ne toḌ dī ham donoñ kī anaa!
ā.īna baat karne pe majbūr ho gayā
daadī se kahnā us kī kahānī sunā.iye
jo bādshāh ishq meñ mazdūr ho gayā
sub.h-e-visāl pūchh rahī hai ajab savāl
vo paas aa gayā ki bahut duur ho gayā
kuchh phal zarūr ā.eñge roTī ke peḌ meñ
jis din mirā mutālba manzūr ho gayā
Top Urdushayar.com