Bashir Badr

shabnam ke aansu phul par ye to wahi qissa hua

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
shabnam ke aañsū phuul par ye to vahī qissa huā
āñkheñ mirī bhīgī huī chehra tirā utrā huā
ab in dinoñ merī ġhazal ḳhushbū kī ik tasvīr hai
har lafz ġhunche kī tarah khil kar tirā chehra huā
shāyad use bhī le ga.e achchhe dinoñ ke qāfile
is baaġh meñ ik phuul thā terī tarah hañstā huā
har chiiz hai bāzār meñ is haath de us haath le
izzat ga.ī shohrat milī rusvā hue charchā huā
mandir ga.e masjid ga.e pīroñ faqīroñ se mile
ik us ko paane ke liye kyā kyā kiyā kyā kyā huā
anmol motī pyaar ke duniyā churā kar le ga.ī
dil kī havelī kā koī darvāza thā TuuTā huā
barsāt meñ dīvār-o-dar kī saarī tahrīreñ miTīñ
dhoyā bahut miTtā nahīñ taqdīr kā likkhā huā
Top Urdushayar.com