Bashir Badr

kahan aansuon ki ye saughat hogi

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
kahāñ āñsuoñ kī ye sauġhāt hogī
na.e log hoñge na.ī baat hogī
maiñ har haal meñ muskurātā rahūñgā
tumhārī mohabbat agar saath hogī
charāġhoñ ko āñkhoñ meñ mahfūz rakhnā
baḌī duur tak raat hī raat hogī
pareshāñ ho tum bhī pareshāñ huuñ maiñ bhī
chalo mai-kade meñ vahīñ baat hogī
charāġhoñ kī lau se sitāroñ kī zau tak
tumheñ maiñ milūñgā jahāñ raat hogī
jahāñ vādiyoñ meñ na.e phuul aa.e
hamārī tumhārī mulāqāt hogī
sadāoñ ko alfāz milne na paa.eñ
na bādal ghireñge na barsāt hogī
musāfir haiñ ham bhī musāfir ho tum bhī
kisī moḌ par phir mulāqāt hogī
Top Urdushayar.com