Bashir Badr

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
kabhī yuuñ bhī aa mirī aañkh meñ ki mirī nazar ko ḳhabar na ho
mujhe ek raat navāz de magar is ke ba.ad sahar na ho
vo baḌā rahīm o karīm hai mujhe ye sifat bhī atā kare
tujhe bhūlne kī duā karūñ to mirī duā meñ asar na ho
mire bāzuoñ meñ thakī thakī abhī mahv-e-ḳhvāb hai chāñdnī
na uThe sitāroñ kī pālkī abhī āhaToñ kā guzar na ho
ye ġhazal ki jaise hiran kī aañkh meñ pichhlī raat kī chāñdnī
na bujhe ḳharābe kī raushnī kabhī be-charāġh ye ghar na ho
kabhī din kī dhuup meñ jhuum ke kabhī shab ke phuul ko chuum ke
yuuñ hī saath saath chaleñ sadā kabhī ḳhatm apnā safar na ho
Top Urdushayar.com