mere siine par vo sar rakkhe hue sotā rahā
jaane kyā thī baat maiñ jaagā kiyā rotā rahā
shabnamī meñ dhuup kī jaise vatan kā ḳhvāb thā
log ye samjhe maiñ sabze par paḌā sotā rahā
vādiyoñ meñ gaah utrā aur kabhī parbat chaḌhā
bojh sā ik dil pe rakkhā hai jise Dhotā rahā
gaah paanī gaah shabnam aur kabhī ḳhūnāb se
ek hī thā daaġh siine meñ jise dhotā rahā
ik havā-e-be-takāñ se āḳhirash murjhā gayā
zindagī bhar jo mohabbat ke shajar botā rahā
rone vāloñ ne uThā rakkhā thā ghar sar par magar
umr bhar kā jāgne vaalā paḌā sotā rahā
raat kī palkoñ pe tāroñ kī tarah jaagā kiyā
sub.h kī āñkhoñ meñ shabnam kī tarah rotā rahā
raushnī ko rañg kar ke le ga.e jis raat log
koī saaya mere kamre meñ chhupā rotā rahā