Bashir Badr

udasi aasman hai dil mera kitna akela hai

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
udāsī āsmāñ hai dil mirā kitnā akelā hai
parinda shaam ke pul par bahut ḳhāmosh baiThā hai
maiñ jab so jā.ūñ in āñkhoñ pe apne hoñT rakh denā
yaqīñ aa jā.egā palkoñ tale bhī dil dhaḌaktā hai
tumhāre shahr ke saare diye to so ga.e kab ke
havā se pūchhnā dahlīz pe ye kaun jaltā hai
agar fursat mile paanī kī tahrīroñ ko paḌh lenā
har ik dariyā hazāroñ saal kā afsāna likhtā hai
kabhī maiñ apne hāthoñ kī lakīroñ se nahīñ uljhā
mujhe ma.alūm hai qismat kā likkhā bhī badaltā hai
Top Urdushayar.com