sho.ala-e-gul gulāb sho.ala kyā
aag aur phuul kā ye rishta kyā
tum mirī zindagī ho ye sach hai
zindagī kā magar bharosā kyā
kitnī sadiyoñ kī qismatoñ kā maiñ
koī samjhe bisāt-e-lamha kyā
jo na ādāb-e-dushmanī jaane
dostī kā use salīqa kyā
kaam kī pūchhte ho gar sāhab
āshiqī ke alāva pesha kyā
baat matlab kī sab samajhte haiñ
sāhab-e-nashsha ġharq-e-bāda kyā
dil-dukhoñ ko sabhī satāte haiñ
sher kyā giit kyā fasāna kyā
sab haiñ kirdār ik kahānī ke
varna shaitān kyā farishta kyā
din haqīqat kā ek jalva hai
raat bhī hai usī kā parda kyā
tū ne mujh se koī savāl kiyā
kārvān-e-hayāt-e-rafta kyā
jaan kar ham 'bashīr-badr' hue
is meñ taqdīr kā navishta kyā