Bashir Badr

meri ghazal ki tarah uski bhi hukumat hai

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
mirī ġhazal kī tarah us kī bhī hukūmat hai
tamām mulk meñ vo sab se ḳhūb-sūrat hai
kabhī kabhī koī insān aisā lagtā hai
purāne shahr meñ jaise na.ī imārat hai
jamī hai der se kamre meñ ġhībatoñ kī nashist
fazā meñ gard hai māhaul meñ kudūrat hai
bahut dinoñ se mire saath thī magar kal shaam
mujhe pata chalā vo kitnī ḳhūb-sūrat hai
ye zā.irān-e-alī-gaḌh kā ḳhaas tohfa hai
mirī ġhazal kā tabarruk diloñ kī barakat hai
Top Urdushayar.com