jab tak nigār-e-dasht kā siina dukhā na thā
sahrā meñ koī lāla-e-sahrā khilā na thā
do jhīleñ us kī āñkhoñ meñ lahrā ke so ga.iiñ
us vaqt merī umr kā dariyā chaḌhā na thā
jaagī na thiiñ nasoñ meñ tamannā kī nāgineñ
us gandumī sharāb ko jab tak chakhā na thā
DhūñDā karo jahān-e-tahayyur meñ umr bhar
vo chaltī phirtī chhāñv hai maiñ ne kahā na thā
ik bevafā ke sāmne aañsū bahāte ham
itnā hamārī aañkh kā paanī marā na thā
vo kaale hoñT jaam samajh kar chaḌhā ga.e
vo aab jis se maiñ ne vuzū tak kiyā na thā
sab log apne apne ḳhudāoñ ko laa.e the
ek ham aise the ki hamārā ḳhudā na thā
vo kaalī āñkheñ shahr meñ mash.hūr thiiñ bahut
tab un pe moTe shīshoñ kā chashma chaḌhā na thā
maiñ sāhib-e-ġhazal thā hasīnoñ kī bazm meñ
sar par ghanere baal the māthā khulā na thā