ye charāġh be-nazar hai ye sitāra be-zabāñ hai
abhī tujh se miltā-jultā koī dūsrā kahāñ hai
vahī shaḳhs jis pe apne dil-o-jāñ nisār kar duuñ
vo agar ḳhafā nahīñ hai to zarūr bad-gumāñ hai
kabhī pā ke tujh ko khonā kabhī kho ke tujh ko paanā
ye janam janam kā rishta tire mere darmiyāñ hai
mire saath chalne vaale tujhe kyā milā safar meñ
vahī dukh-bharī zamīñ hai vahī ġham kā āsmāñ hai
maiñ isī gumāñ meñ barsoñ baḌā mutma.in rahā huuñ
tirā jism be-taġhayyur mirā pyaar jāvedāñ hai
unhīñ rāstoñ ne jin par kabhī tum the saath mere
mujhe rok rok pūchhā tirā ham-safar kahāñ hai