ḳhushbū kī tarah aayā vo tez havāoñ meñ
māñgā thā jise ham ne din raat duāoñ meñ
tum chhat pe nahīñ aa.e maiñ ghar se nahīñ niklā
ye chāñd bahut bhaTkā sāvan kī ghaTāoñ meñ
is shahr meñ ik laḌkī bilkul hai ġhazal jaisī
bijlī sī ghaTāoñ meñ ḳhushbū sī adāoñ meñ
mausam kā ishāra hai ḳhush rahne do bachchoñ ko
ma.asūm mohabbat hai phūloñ kī ḳhatāoñ meñ
ham chāñd sitāroñ kī rāhoñ ke musāfir haiñ
ham raat chamakte haiñ tārīk ḳhalāoñ meñ
bhagvān hī bhejeñge chāval se bharī thālī
mazlūm parindoñ kī ma.asūm sabhāoñ meñ
daadā baḌe bhole the sab se yahī kahte the
kuchh zahr bhī hotā hai añgrezī davāoñ meñ