Bashir Badr

meri zaban pe nae zaiqon ke phal likh de

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
mirī zabāñ pe na.e zā.iqoñ ke phal likh de
mire ḳhudā tū mire naam ik ġhazal likh de
maiñ chāhtā huuñ ye duniyā vo chāhtā hai mujhe
ye mas.ala baḌā nāzuk hai koī hal likh de
ye aaj jis kā hai us naam ko mubārak ho
mirī jabīñ pe mire āñsuoñ se kal likh de
havā kī tarah maiñ betāb huuñ ki shāḳh-e-gulāb
jo regzāroñ pe tālāb ke kañval likh de
maiñ ek lamhe meñ duniyā sameT saktā huuñ
tū kab milegā akele meñ ek pal likh de
Top Urdushayar.com