Bashir Badr

meri zindagi bhi meri nahin ye hazar KHanon mein baT gai

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
mirī zindagī bhī mirī nahīñ ye hazār ḳhānoñ meñ baT ga.ī
mujhe ek muTThī zamīn de ye zamīn kitnī simaT ga.ī
tirī yaad aa.e to chup rahūñ zarā chup rahūñ to ġhazal kahūñ
ye ajiib aag kī bel thī mire tan-badan se lipaT ga.ī
mujhe likhne vaalā likhe bhī kyā mujhe paḌhne vaalā paḌhe bhī kyā
jahāñ merā naam likhā gayā vahīñ raushnā.ī ulaT ga.ī
na koī ḳhushī na malāl hai ki sabhī kā ek sā haal hai
tire sukh ke din bhī guzar ga.e mirī ġham kī raat bhī kaT ga.ī
mirī band palkoñ par TuuT kar koī phuul raat bikhar gayā
mujhe siskiyoñ ne jagā diyā mirī kachchī niiñd uchaT ga.ī
Top Urdushayar.com