Bashir Badr

meri aankhon mein tere pyar ka aansu aae

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
merī āñkhoñ meñ tire pyaar kā aañsū aa.e
koī ḳhushbū maiñ lagā.ūñ tirī ḳhushbū aa.e
vaqt-e-ruḳhsat kahīñ taare kahīñ jugnū aa.e
haar pahnāne mujhe phuul se baazū aa.e
maiñ ne din raat ḳhudā se ye duā māñgī thī
koī aahaT na ho dar par mire jab tū aa.e
in dinoñ aap kā aalam bhī ajab aalam hai
tiir khāyā huā jaise koī aahū aa.e
us kī bāteñ ki gul-o-lāla pe shabnam barse
sab ko apnāne kā us shoḳh ko jaadū aa.e
us ne chhū kar mujhe patthar se phir insān kiyā
muddatoñ ba.ad mirī āñkhoñ meñ aañsū aa.e
Top Urdushayar.com