hai ajiib shahr kī zindagī na safar rahā na qayām hai
kahīñ kārobār sī dopahar kahīñ bad-mizāj sī shaam hai
yūñhī roz milne kī aarzū baḌī rakh-rakhāv kī guftugū
ye sharāfateñ nahīñ be-ġharaz ise aap se koī kaam hai
kahāñ ab duāoñ kī barkateñ vo nasīhateñ vo hidāyateñ
ye mutālboñ kā ḳhulūs hai ye zarūratoñ kā salām hai
vo diloñ meñ aag lagā.egā maiñ diloñ kī aag bujhāuñgā
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
na udaas ho na malāl kar kisī baat kā na ḳhayāl kar
ka.ī saal ba.ad mile haiñ ham tire naam aaj kī shaam hai
koī naġhma dhuup ke gaañv sā koī naġhma shaam kī chhāñv sā
zarā in parindoñ se pūchhnā ye kalām kis kā kalām hai