patthar ke jigar vaalo ġham meñ vo ravānī hai
ḳhud raah banā legā bahtā huā paanī hai
ik zehn-e-pareshāñ meñ ḳhvāb-e-ġhazalistāñ hai
patthar kī hifāzat meñ shīshe kī javānī hai
dil se jo chhaTe bādal to aañkh meñ sāvan hai
Thahrā huā dariyā hai bahtā huā paanī hai
ham-rañg-e-dil-e-pur-ḳhūñ har lāla-e-sahrā.ī
gesū kī tarah muztar ab raat kī raanī hai
jis sañg pe nazreñ kiiñ ḳhurshīd-e-haqīqat hai
jis chāñd se muñh moḌā patthar kī kahānī hai
ai pīr-e-ḳhirad-mandāñ dil kī bhī zarūrat hai
ye shahr-e-ġhazālāñ hai ye mulk-e-javānī hai
ġham vaj.h-e-figār-e-dil ġham vaj.h-e-qarār-e-dil
aañsū kabhī shīsha hai aañsū kabhī paanī hai
is hausla-e-dil par ham ne bhī kafan pahnā
hañs kar koī pūchhegā kyā jaan gañvānī hai
din talḳh haqā.eq ke sahrāoñ kā sūraj hai
shab gesū-e-afsāna yādoñ kī kahānī hai
vo husn jise ham ne rusvā kiyā duniyā meñ
nādīda haqīqat hai nā-gufta kahānī hai
vo misra-e-āvāra dīvānoñ pe bhārī hai
jis meñ tire gesū kī be-rabt kahānī hai
ham ḳhushbu-e-āvāra ham nūr-e-pareshāñ haiñ
ai 'badr' muqaddar meñ āshufta-bayānī hai