Bashir Badr

honTon pe mohabbat ke fasane nahin aate

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
hoñToñ pe mohabbat ke fasāne nahīñ aate
sāhil pe samundar ke ḳhazāne nahīñ aate
palkeñ bhī chamak uThtī haiñ sone meñ hamārī
āñkhoñ ko abhī ḳhvāb chhupāne nahīñ aate
dil ujḌī huī ek sarā.e kī tarah hai
ab log yahāñ raat jagāne nahīñ aate
yaaro na.e mausam ne ye ehsān kiye haiñ
ab yaad mujhe dard purāne nahīñ aate
uḌne do parindoñ ko abhī shoḳh havā meñ
phir lauT ke bachpan ke zamāne nahīñ aate
is shahr ke bādal tirī zulfoñ kī tarah haiñ
ye aag lagāte haiñ bujhāne nahīñ aate
ahbāb bhī ġhairoñ kī adā siikh ga.e haiñ
aate haiñ magar dil ko dukhāne nahīñ aate
Top Urdushayar.com