dil meñ ik tasvīr chhupī thī aan basī hai āñkhoñ meñ
shāyad ham ne aaj ġhazal sī baat likhī hai āñkhoñ meñ
jaise ik harījan laḌkī mandir ke darvāze par
shaam diyoñ kī thaal sajā.e jhāñk rahī hai āñkhoñ meñ
is rūmāl ko kaam meñ laao apnī palkeñ saaf karo
mailā mailā chāñd nahīñ hai dhuul jamī hai āñkhoñ meñ
paḌhtā jā ye manzar-nāma zard aziim pahāḌoñ kā
dhuup khilī palkoñ ke uupar barf jamī hai āñkhoñ meñ
maiñ ne ik novel likkhā hai aane vaalī sub.h ke naam
kitnī rātoñ kā jaagā huuñ niiñd bharī hai āñkhoñ meñ