Bashir Badr

ghar se nikle agar hum bahak jaenge

Bashir Badr

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1935
ghar se nikle agar ham bahak jā.eñge
vo gulābī kaTore chhalak jā.eñge
ham ne alfāz ko aa.ina kar diyā
chhapne vaale ġhazal meñ chamak jā.eñge
dushmanī kā safar ik qadam do qadam
tum bhī thak jāoge ham bhī thak jā.eñge
rafta rafta har ik zaḳhm bhar jā.egā
sab nishānāt phūloñ se Dhak jā.eñge
naam paanī pe likhne se kyā fā.eda
likhte likhte tire haath thak jā.eñge
ye parinde bhī khetoñ ke mazdūr haiñ
lauT ke apne ghar shaam tak jā.eñge
din meñ pariyoñ kī koī kahānī na sun
jañgaloñ meñ musāfir bhaTak jā.eñge
Top Urdushayar.com